
Apne hoto se ise mat chhedna
Kyunki aapki khamoshi bahot kuch kaha karti hai
Bina labjo ke haale dil byaan karti hai
Nigaho se kabhi hamara shukriya adaa karti hai
Kabhi hume sochne par majboor kiya karti hai
Ki hamari kaunsi khata aapko khafaa kiya karti hai
Aapki ye ada kabhi hume sazaa laga karti hai
Phir bhi apne hoto se ise na chhedna
Kyunki aapki khamoshi hamesha sach kaha karti hai
Ye alfaazo ke moti khamoshi ke dhaage me piro dijiyega
Aapki khamoshi sunnewaala koi naa ho...to hume yaad kijiyega.
No comments:
Post a Comment